♥️
June ka mahina tha...
Zindagi mein Bohot hi bhayankar sa thufan tha...
Tut chuki thi...bikhar chuki thi...waqt pura badal gaya tha...
Maano jese Ye dil haar sa gaya tha...
Socha tha sab chhod dungi...sab kuch...
Nahi chiye ye matlabi log...ye matlabi duniyan...ye dilon se...kisiki zindgi se khelne vale loggg...
Kuch bhi thik nahi tha...muskurane ke b bahane dhundne padte the...
Dost to mano itne pareshan ho gaye the ki mujhe kuch ho na jaye...me kuch kar na doon...
Lekin fir b ek Shaqs tha...jo pure din...mere khane se le ke sone take kam se leke khali vaqt takk sabhi chizon ka badiii bekhoobi se khyal rakhta tha...
Roti mein thi...dard use hota tha...
Ha uski ek majburi thi ki vo mere pass na reh saka...lekin 700kms dur se bhi vo mere bohot karib rehta tha...
Shyad mujhe tabhi ye ehsaas nahi hua tha ki kon hai mere saath kyuki mujhe chizon ya khud ka hosh hi nahi tha...
Lekin aaj bhi...aajj bhi vo banda Mene khana khaya ki nai...mein time par soyi ki nai...padhai hui ki nahi...sabhi chizon ka Dhyan rakhta hai...
Hann bohot ladta hai bohot jagadta hai...
Lekin jigra hai mera...bohot pyar se rakhti hoon use...
Kabhi kabhi need me dar sa lagta hai ki vo to dur nahii chala jayega na mujhse...
Phir vo pyar se mujhe kehta hai...me paas hun tumhare aur hamesha paas hi rahunga...
Dost se zyada hai vo mere liye...
Vo dost nahi vo mera bhai hai mere liye...♥️
Comments
Post a Comment