Lamhe

Lamhe...❤️

*Jinki na anhat aati hai na khabar aati hai...

Bass yunn hi aate hai aur bikhar se jaate hai...

Gum ki koi mehfil leker to kabhi khushiyon ki Meher leker...

Vo aate hai...

Kabhi maa ka pyaar leker...kabhi Papa ka dular leker...

Kabhi Mehboob ki aankhon me Khushi dikha kar to kabhi usi ke khone ka Dard leker...

*Kya khoob zindagi Mili hai...

Tarazoo me tol k har kisi ke hisse ke Lamhe deti hai...

Kounsa kisko kitna Dena hai sab hisab karke deti hai...

Kuch Lamhe uski Chahat ke...

To kuch Lamhe uski durii ke...

Vo bhai-behen ke saath jagadne ke...

To kabhi unhi se bichadne ke...

Yeh Lamhe milte hai zindagi k Sagar me...

Aur rang dete hai ise kayii hasin rangoo me...

Lamhe unki Dosti ke...

Lamhe vo yaari ke...

Vo

Baarish me bheegte hui gaane gaane ke...

Vo pagalon ki tarah hasne ke...

Ya vo sabhi dosto se bichadke unko vapas na Milne ke...

*Kya hasin Sitam dikhlati hai ye zindagi...

Sab kuch sikha ke Jaan leti hai ye zindagi...

Lamho Ko gam me duboke jiyo ya Khushi me gholke jiyo ye farq Batati hai zindagi...

Vaise to zindagi ki mehfil me log chehre pe badi su muskan leke ghumte hai...

Lekin us muskan ke piche bohot kuch chupa ke ghumte hai...

Kiske Mann ma kya chalta hai rabb hi jaane...

Bass khud me hi log ghut-ghut ke jite hai...

Bass yunhi log lamho Ko gavake jite hai...
Bass yunhi log lamho Ko gavake jite hai...
❤️❤️❤️

Comments

Post a Comment