💝

Aj Sagar ki us gehrai tak pohoch gayi hun ki bahar nikalna mushkil hai...
Aur ab us Sagar ke rang badalte dekh soch me pad gayi hun...
Kyu khud ko dubne Diya us gehrai tak jab Pata Tha ki pani rang badle ga...
Kyu machli me uske rang me rangne k liye jab malum Tha ki ye rang zeher me badle ga...
Na jaane Kyu chali thi me uske har ek rang ko badal kar nikharne me...
Aur aaj Kyu himmat juta nahi paa rahi hu agar abtak junoon Tha to...
Aaj me aisa Kya hai Jo guzre kal ko soch k darata hai...
Aaj me aisa Kya hai Jo aane vale Kal ko dekh kar hichkata hai...
Kya Karun...Kaha jav...Kya bolu...Kisko apna haal batayan karun...kis taraf mudu...
Kuch Pata nahi hai...
Bas dubti hi jaa rahi hu... dubti hi jaa rahi hun...
Ek taraf apni duniya se dur hone ka dar satata hai...
Aur dusri taraf Sagar ki gehraii dubati jaa rahi hai dubati jaa rahi hai...
Dum ghuta jaa Raha Hai...Saanse ruki jaa rahi Hai...
Akhir karun to Kya Karun...
Ae-khuda-ae-meherban jab Sagar me jaa rahi thi tab apke dar pe khushiyon ki sogat leke Aayi thi...
Aj usi Sagar me dub rahi hun...Aj usi dar pe ek madad mangne Aayi hun...
Koi ek mukaam tak pochade...
Ya to Duba de ya tera de...

Comments