Posts

Showing posts from April, 2019

Chand❤️

Bohot berehmi se baadalone Chand Ko chupaya tha... Chand Ko meri nazron se hataya tha... Dhadkano Jese rokk SA diya tha... Lekin Chand bhi Kahan Badalon ka mohtaaj tha... Bade pyaar se baadalon ka parda uthaya diya tha... Aur Jese mujhse najar Mila Raha tha... Royii to me tabhii usko dekhke... Bahon me kaske rakhna jo tha... Bohot pyaar aaya use dekhke... Bohot Naaz Aya khud uspe... Kya khubsurti thi... Kya masumiyat thi... Adah b bohot nukili thi... Pyar ki to Jese talab hi lagi thi... Pucha kisne banaya tujhe... Rab ki taraf ungli utha ke bola usne... Kya karamat hai khuda ki... Sabse khubsurat chizz Ko Sabki najron ke karib aur hathon se durr rakha usne... Uski khubsurti ko sajaya jisne... Uski masumiyat Ko chalkaya jisne...❤️

Alamat...

Samunder ki lehre bohot uchali-uchli si hai... Havayen bhi tufaani si hai... Tan bhi mehka-mehka SA lag Raha hai... Dil bhi fudak Raha hai... Shyad...shyad ye...haannn hann... Ye usike ka aagaman ki A lamat hai... Shayad ye usike idher hone ki sabuti hai...

Ehsaan...❤️

Ehsaan kar beithe... Yeh soch kar kuch Palo ki mohobat kar bethe... Vo hum pe do pal ki mohobat ka Ehsaan kar bethe... Vo masoom se palon Ko khushnuma kar bethe... Vo hum pe do pal ki mohobat ka Ehsaan kar bethe... Sochte the ki Puri zindagi Yun hi aapki bahon me bethe rahe... Par AAP to... Bas... Vo hum pe do pal ki mohobat ka Ehsaan kar bethe... Bade hi pyar se is haqiqat-ae-aelan Ko Maan bethe... Ki Sacha pyar adhura rehta hai... Aur aap usi huq se... Vo hum pe do pal ki mohobat ka Ehsaan kar bethe... Kehte the Puri zindagi saath jiyenge... Aur do pal mein hi saath kho bethe... Aur aap... Vo hum pe do pal ki mohobat ka Ehsaan kar bethe... Shukra khuda ka is nachis ki zindagi me pyar kya hota hai jatane ke liye... Aur isi vaste aap... Vo hum pe do pal ki mohobat ka Ehsaan kar bethe...❤️