Sabme teri talash hai...
A poetry❤️... Aaj ye dooriyan jo Bani hai... Vaqt ne pehle se kahi hai... Na tere bin jine ka khof tha... Na kabhi khalipan ka asar tha... Tu Kis baat se Dara tha... Jab tere saath mein khada tha... Saath mushkilo ka samna karna tha... Tere vajud ka Sahara tha... Ek dorr tu Nikal Gaya hai... Itna door jo Gaya hai... Paas Ane ka bhi Darr sa ban Gaya hai... Sabse dooriyan b me ab banane lagi hun... Tere goome hue vajud se b baat karne mein lagi Hun... Neend bhi uda Rakhi hai... Bhookh bhi Mita Rahi hai... Hann Lekin me darpok nahi hoon... Hann hann me darpok nahi hoon... Maa-baap Ko na yun rulake jaungi... Unka bhi sar uncha karke jaungi... Mere vajud ka farz nibhake jaungi... Aur har ek saks Ko sambhalke jaungi... Bohot hai yahan meri kadra karne vale... Na jaane fir bhi kyu un sabme teri talash hai... Na jaane fir bhi kyu un sabme teri talash hai...